Sawal SaKHt Tha Dariya Ke Par Utar Jaana

sawal saKHt tha dariya ke par utar jaana

wo mauj mauj magar KHud mera bikhar jaana

ye kya KHabar tumhein kis rup mein hun zinda main

mile na jism to sae ko qatl kar jaana

paDa hun yaKH-zada sahra-e-agahi mein hunuz

mere wajud mein thoDi si dhup bhar jaana

kabhi to sath ye aasib-e-waqt chhoDega

KHud apne sae ko bhi dekhna to Dar jaana

jo chahte ho sahar ko nai zaban mile

to pichhli shab ke charaghon ko qatl kar jaana

hamare ahd ka har zehn to nahin jamid

kisi daricha-e-ehsas se guzar jaana

'faza' tujhi ko ye saffaki-e-hunar bhi mili

ek ek lafz ko yun be-libas kar jaana

(902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sawal SaKHt Tha Dariya Ke Par Utar Jaana In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Sawal SaKHt Tha Dariya Ke Par Utar Jaana is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Sawal SaKHt Tha Dariya Ke Par Utar Jaana for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Sawal SaKHt Tha Dariya Ke Par Utar Jaana in PDF.