Hai Jo KHamosh But-e-hosh-ruba Mere Baad

hai jo KHamosh but-e-hosh-ruba mere baad

gul khilaega koi aur naya mere baad

tu jafaon se jo badnam kiye jata hai

yaad aaegi tujhe meri wafa mere baad

koi shikwa ho sitamgar to zahir kar de

phir na karna tu kabhi koi gila mere baad

ibrat-angez hai afsana mere marne ka

ruk gae hain qadam-e-umr-e-baqa mere baad

zamzame KHana-e-sayyaad ke kyun gunjte hain

kya koi taza giraftar hua mere baad

sar ke bal ishq ki manzil ko kiya tai main ne

nahin milte jo nishan-e-kaf-e-pa mere baad

'sabir'-e-KHasta ko har haal mein ya rab rakh shad

kahin aisa na ho ho sabr fana mere baad

(714) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Jo KHamosh But-e-hosh-ruba Mere Baad In English By Famous Poet Fazal Husain Sabir. Hai Jo KHamosh But-e-hosh-ruba Mere Baad is written by Fazal Husain Sabir. Read famous Poem Hai Jo KHamosh But-e-hosh-ruba Mere Baad for youth and Student by Fazal Husain Sabir. Free Download Hai Jo KHamosh But-e-hosh-ruba Mere Baad in PDF.