Idhar Bhi Dekh Zara Be-qarar Hum Bhi Hain

idhar bhi dekh zara be-qarar hum bhi hain

tere fidai tere jaan-nisar hum bhi hain

buto haqir na samjho hamein KHuda ke liye

gharib banda-e-parwar-digar hum bhi hain

kahan ki tauba ye mauqa hai phul uDane ka

chaman hai abr hai saqi hai yar hum bhi hain

misal-e-ghuncha udhar KHanda-zan hai wo gul-e-tar

misal-e-abr idhar ashk-bar hum bhi hain

jigar ne dil se kaha dard-e-hijr-e-jaanan mein

ki ek tu hi nahin be-qarar hum bhi hain

mudam samne ghairon ke be-naqab rahe

isi pe kahte ho tum parda-dar hum bhi hain

hamein bhi dijiye apni gali mein thoDi jagah

gharib balki gharib-ud-dayar hum bhi hain

shagufta bagh-e-suKHan hai hamin se ai 'sabir'

jahan mein misl-e-nasim-e-bahaar hum bhi hain

(831) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Idhar Bhi Dekh Zara Be-qarar Hum Bhi Hain In English By Famous Poet Fazal Husain Sabir. Idhar Bhi Dekh Zara Be-qarar Hum Bhi Hain is written by Fazal Husain Sabir. Read famous Poem Idhar Bhi Dekh Zara Be-qarar Hum Bhi Hain for youth and Student by Fazal Husain Sabir. Free Download Idhar Bhi Dekh Zara Be-qarar Hum Bhi Hain in PDF.