Tohfa-e-gham Bhi Mila Dard Ki Saughat Ke Baad

tohfa-e-gham bhi mila dard ki saughat ke baad

phir bhi dil KHush na hua itni inayat ke baad

umr-bhar DhunDte phirte hi rahe apna wajud

KHud se hum mil na sake un se mulaqat ke baad

main hun jab tak to samajh lijiye sab kuchh hai yahan

kuchh na rah jaega duniya mein meri zat ke baad

kitni tarikiyan guzrin to ujala dekha

husn aaya hai nazar kitne hijabaat ke baad

zindagi teri tawazoa bhi main karta lekin

na bacha kuchh bhi lahu gham ki mudaraat ke baad

hath aae hue lamhat na chhoDo warna

kuchh na hath aaega guzre hue lamhat ke baad

aaega daur-e-masarrat bhi yaqinan 'fazil'

kya nahin hoti hai duniya mein sahar raat ke baad

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tohfa-e-gham Bhi Mila Dard Ki Saughat Ke Baad In English By Famous Poet Fazil Ansari. Tohfa-e-gham Bhi Mila Dard Ki Saughat Ke Baad is written by Fazil Ansari. Read famous Poem Tohfa-e-gham Bhi Mila Dard Ki Saughat Ke Baad for youth and Student by Fazil Ansari. Free Download Tohfa-e-gham Bhi Mila Dard Ki Saughat Ke Baad in PDF.