Wo Barq Ka Ho Ki Maujon Ke Pech-o-tab Ka Rang

wo barq ka ho ki maujon ke pech-o-tab ka rang

juda hai sab se mere dil ke iztirab ka rang

shaguftagi mujhe zaKHm-e-jigar ki yaad aai

chaman mein dekh ke khilte hue gulab ka rang

kiya na tark agar tark-e-ashiqi ka KHayal

KHarab aur bhi hoga dil-e-KHarab ka rang

laga rahe hain wo nashtar se zaKHm par marham

nigah-e-lutf-e-karam mein bhi hai itab ka rang

ye mai-kada to hai KHud inqalab ki duniya

yahan jamega na duniya ke inqalab ka rang

hawadason se jamal-e-ruKH-e-hayat hai yun

qarib sham ho jis tarah aaftab ka rang

dil-e-tabah ka 'fazil' KHuda hi hafiz hai

ki ab hai aur hi kuchh dard-o-iztirab ka rang

(634) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Barq Ka Ho Ki Maujon Ke Pech-o-tab Ka Rang In English By Famous Poet Fazil Ansari. Wo Barq Ka Ho Ki Maujon Ke Pech-o-tab Ka Rang is written by Fazil Ansari. Read famous Poem Wo Barq Ka Ho Ki Maujon Ke Pech-o-tab Ka Rang for youth and Student by Fazil Ansari. Free Download Wo Barq Ka Ho Ki Maujon Ke Pech-o-tab Ka Rang in PDF.