Ye Daur Kaisa Hai Ya-ilahi Ki Dost Dushman Se Kam Nahin Hai

ye daur kaisa hai ya-ilahi ki dost dushman se kam nahin hai

KHulus-e-har-rahbar-e-zamana fareb-e-rahzan se kam nahin hai

hua to hai be-naqab koi nazar hai mahrum-e-did phir bhi

naqab se hai siwa tajalli jamal-e-chilman se kam nahin hai

laga ke KHun-e-jigar ka Tika hai samne gham ke sar-ba-sajda

sanam-parasti mein tu bhi ai dil kisi barahman se kam nahin hai

qafas ki hai ab mera Thikana zarur hoga tabah ek din

ki bijliyon ki nazar mein ye bhi mere nasheman se kam nahin hai

misal-e-KHurshid jalwa-gar hai jigar ka har ek dagh-e-taban

nazara kar meri sham-e-gham ka jo subh-e-raushan se kam nahin hai

ye KHushk be-rang KHar fazil mere liye hain gulon se behtar

meri nazar mein mera bayaban kisi ke gulshan se kam nahin hai

(787) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Daur Kaisa Hai Ya-ilahi Ki Dost Dushman Se Kam Nahin Hai In English By Famous Poet Fazil Ansari. Ye Daur Kaisa Hai Ya-ilahi Ki Dost Dushman Se Kam Nahin Hai is written by Fazil Ansari. Read famous Poem Ye Daur Kaisa Hai Ya-ilahi Ki Dost Dushman Se Kam Nahin Hai for youth and Student by Fazil Ansari. Free Download Ye Daur Kaisa Hai Ya-ilahi Ki Dost Dushman Se Kam Nahin Hai in PDF.