Ab To Ashkon Ki Rawani Mein Na Rakkhi Jae

ab to ashkon ki rawani mein na rakkhi jae

us ki taswir hai pani mein na rakkhi jae

ek hi dil mein Thahar jaen hamesha ke liye

zindagi naql-e-makani mein na rakkhi jae

zinda rakhna ho mohabbat mein jo kirdar mera

saat-e-wasl kahani mein na rakkhi jae

yun to milte hain sabhi log bichhaDne ke liye

na-gahani ye jawani mein na rakkhi jae

bhul jaana hai to ai dost bhula de mujh ko

yaad ab yaad-dahani mein na rakkhi jae

jab koi ek kashish khinch rahi hai hum ko

kimiya falsafa-dani mein na rakkhi jae

dil bhi thoDa sa subuk-dosh-e-tamanna kar de

kuchh tabiat bhi girani mein na rakkhi jae

(859) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab To Ashkon Ki Rawani Mein Na Rakkhi Jae In English By Famous Poet Fazil Jamili. Ab To Ashkon Ki Rawani Mein Na Rakkhi Jae is written by Fazil Jamili. Read famous Poem Ab To Ashkon Ki Rawani Mein Na Rakkhi Jae for youth and Student by Fazil Jamili. Free Download Ab To Ashkon Ki Rawani Mein Na Rakkhi Jae in PDF.