KHumar-e-shab Mein Tera Nam Lab Pe Aaya Kyun

KHumar-e-shab mein tera nam lab pe aaya kyun

nashe mein aur bhi the main hi laDkhaDaya kyun

main apne shahr ki har rahguzar se puchhta hun

paDa hua hai yahin wahshaton ka saya kyun

koi to dard hai aisa jo khinchta hai use

mere hi dil ki taraf lauT kar wo aaya kyun

kisi nigah ka main husn-e-intiKHab na tha

to zindagi ne mujhe hi phir aazmaya kyun

kisi diye se gila bhi karen to kaise karen

parae ghar ki munDeron pe jagmagaya kyun

mujhe sambhaal ke rakhna tha ai nigar-e-watan

gali gali mein lahu ki tarah bahaya kyun

main gir paDa tha kahin bebasi ke aalam mein

mujhe uTha ke kisi ne gale lagaya kyun

(1151) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHumar-e-shab Mein Tera Nam Lab Pe Aaya Kyun In English By Famous Poet Fazil Jamili. KHumar-e-shab Mein Tera Nam Lab Pe Aaya Kyun is written by Fazil Jamili. Read famous Poem KHumar-e-shab Mein Tera Nam Lab Pe Aaya Kyun for youth and Student by Fazil Jamili. Free Download KHumar-e-shab Mein Tera Nam Lab Pe Aaya Kyun in PDF.