Safed-poshi-e-dil Ka Bharam Bhi Rakhna Hai

safed-poshi-e-dil ka bharam bhi rakhna hai

teri KHushi ke liye tera gham bhi rakhna hai

dil o nazar mein hazar iKHtilaf hon lekin

jo ishq hai to phir un ko baham bhi rakhna hai

bichhaDne milne ke mani juda juda kyun hain

har ek bar jab aankhon ko nam bhi rakhna hai

hasin hai to use apni baat rakhne ko

karam ke sath rawa kuchh sitam bhi rakhna hai

ziyaada der use dekhna bhi hai 'fazil'

aur apne aap ko thoDa sa kam bhi rakhna hai

(2083) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safed-poshi-e-dil Ka Bharam Bhi Rakhna Hai In English By Famous Poet Fazil Jamili. Safed-poshi-e-dil Ka Bharam Bhi Rakhna Hai is written by Fazil Jamili. Read famous Poem Safed-poshi-e-dil Ka Bharam Bhi Rakhna Hai for youth and Student by Fazil Jamili. Free Download Safed-poshi-e-dil Ka Bharam Bhi Rakhna Hai in PDF.