Shauqin Mizajon Ke Rangin Tabiat Ke

shauqin mizajon ke rangin tabiat ke

wo log bula lao namkin tabiat ke

dukh-dard ke peDon par ab ke jo bahaar aai

phal phul bhi aae hain ghamgin tabiat ke

KHairaat mohabbat ki phir bhi na mili hum ko

hum lakh nazar aae miskin tabiat ke

ab ke jo nashebon mein parwaz hamari hai

hum kaun se aise the shahin tabiat ke

dekhi hai bahut hum ne ye film talluq ki

kuchh bol takalluf ke kuchh scene tabiat ke

is umr mein milte hain kab yar nashe jaise

daru ki tarah tikhe kokin tabiat ke

ek umr to hum ne bhi bharpur guzari hai

do-chaar muKHalif the do-tin tabiat ke

tum bhi to miyan 'fazil' apni hi tarah ke ho

din-dar zamane ke be-din tabiat ke

(2872) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shauqin Mizajon Ke Rangin Tabiat Ke In English By Famous Poet Fazil Jamili. Shauqin Mizajon Ke Rangin Tabiat Ke is written by Fazil Jamili. Read famous Poem Shauqin Mizajon Ke Rangin Tabiat Ke for youth and Student by Fazil Jamili. Free Download Shauqin Mizajon Ke Rangin Tabiat Ke in PDF.