In Aaankhon Mein Bin Bole Bhi Madar-zad Taqaza Hai

in aaankhon mein bin bole bhi madar-zad taqaza hai

KHwahish KHwahish bikne wala malbusati kiDa hai

us ke chaaron or phiren kya us ke andar utren kya

apne hi andar utarne ka kya kuchh kam pachhtawa hai

sannaTe ki diwaron se sar Takra kar mar jao

chiKHon ka zalim darwaza qad se kafi uncha hai

galiyon galiyon KHak uDa li har darwaza jhank aae

tab ja kar ye KHwabon jaisa dhundla-pan hath aaya hai

kitne hi chahe jismon ki lashen manzar manzar hain

lekin an-gin KHushiyon ka bhi aaankhon hi se rishta hai

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

In Aaankhon Mein Bin Bole Bhi Madar-zad Taqaza Hai In English By Famous Poet Fazl Tabish. In Aaankhon Mein Bin Bole Bhi Madar-zad Taqaza Hai is written by Fazl Tabish. Read famous Poem In Aaankhon Mein Bin Bole Bhi Madar-zad Taqaza Hai for youth and Student by Fazl Tabish. Free Download In Aaankhon Mein Bin Bole Bhi Madar-zad Taqaza Hai in PDF.