Is Kamre Mein KHwab Rakkhe The Kaun Yahan Par Aaya Tha

is kamre mein KHwab rakhe the kaun yahan par aaya tha

gum-sum raushan-dano bolo kya tum ne kuchh dekha tha

andhe ghar mein har jaanib se bad-ruhon ki yurish thi

bijli jalne se pahle tak wo sab thin main tanha tha

mujh se chauthi bench ke upar kal shab jo do sae the

jaane kyun aisa lagta hai ek tere sae sa tha

suraj uncha ho kar mere aangan mein bhi aaya hai

pahle nicha tha to unche minaron par baiTha tha

mazi ki nili chhatri par yaadon ke angare the

KHwahish ke pile patton par girne ka Dar baiTha tha

dil ne ghanTon ki dhaDkan lamhon mein puri kar Dali

waise anjaani laDki ne bas ka Time puchha tha

(774) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Kamre Mein KHwab Rakkhe The Kaun Yahan Par Aaya Tha In English By Famous Poet Fazl Tabish. Is Kamre Mein KHwab Rakkhe The Kaun Yahan Par Aaya Tha is written by Fazl Tabish. Read famous Poem Is Kamre Mein KHwab Rakkhe The Kaun Yahan Par Aaya Tha for youth and Student by Fazl Tabish. Free Download Is Kamre Mein KHwab Rakkhe The Kaun Yahan Par Aaya Tha in PDF.