Aa Ke Ho Ja Be-libas

din jo kahta hai mat sun

dhup kandhon par uThane se bhi haT ja

Dher se ghusse ko apni muTThiyon mein bhar ke le aa

shahr bhar ke munh pe mal de

har taraf kalak hi kalak pot de diwar-o-dar par

din ke sab aasar Dha de

noch le aakash se jalte hue KHurshid ko

dhup ki chadar ko kar de tar tar

aur phir ghar aa ke ho ja be-libas

band ho ja ghar ki andhi koThari mein

band rah lambe samay tak

jab talak suraj tere apne hi kale ghaar se

bahar na jhanke band rah

dhup jab tak koDh ki surat tere kale badan ko

phoD kar bahar na nikle band rah

jab talak ghusse ka kala jhag tujh mein kho na jae

band rah band rah lambe samay tak

ye ghalat-fahmi ki tere band rahne se

yahan kuchh kam hua hai bhul ja

bhiD ke itne baDe jangal mein

kab kuchh kam hua hai

(990) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aa Ke Ho Ja Be-libas In English By Famous Poet Fazl Tabish. Aa Ke Ho Ja Be-libas is written by Fazl Tabish. Read famous Poem Aa Ke Ho Ja Be-libas for youth and Student by Fazl Tabish. Free Download Aa Ke Ho Ja Be-libas in PDF.