Ishq Us Se Kiya Hai To Ye Gar Yaad Bhi Rakkho
ishq us se kiya hai to ye gar yaad bhi rakkho
apne liye har din nai uftad bhi rakkho
KHud apne liye aap saza bhi karo tajwiz
munsif bhi bano ujrati jallad bhi rakkho
jo hath kare baKHiya-gari chaak-e-jigar ki
us hath mein ab KHanjar-e-bedad bhi rakkho
hum log to har-haal mein rahte hain sada KHush
jo KHush nahin rahte unhen nashad bhi rakkho
mumkin ho to is anjuman-arai mein taza
ek zaKHm-e-dil-e-KHanaman-barbaad bhi rakkho
jis shaKHs ne di likh ke tumhein apni asiri
us shaKHs ko ek pal kabhi aazad bhi rakkho
ye kar-e-jahan ab to sameTa nahin jata
behtar hai ki apna koi ham-zad bhi rakkho
shishe mein utaro kisi nazuk si pari ko
qabze mein koi apne pari-zad bhi rakkho
ye ghar koi mehman-sara to nahin jis mein
ek pal bhi na Thahro use aabaad bhi rakkho
aata hai hamein jaan se guzarne ka amal KHub
tum chaho to tegh-e-sitam-ijad bhi rakkho
ye zist ju-e-shir hai ai 'KHusraw'-e-sani
lazim hai tumhein taisha-e-farhad bhi rakkho
(13210) Peoples Rate This