Teri Justuju Mein Dekha Main Kahan Kahan Se Guzra

teri justuju mein dekha main kahan kahan se guzra

kabhi is zamin ko raunda kabhi aasman se guzra

tere gham mein do jahan se jo bacha liya hai daman

kabhi aisa bhi hua hai gham-e-do-jahan se guzra

mere naqsh-ha-e-ulfat ye bata rahe hain sab ko

main kahan kahan pe Thahra main kahan kahan se guzra

ye masajid-o-manadir mere kaam kuchh na aae

tere ishq mein jo guzra to main apni jaan se guzra

tu KHabir bhi hai kaamil tu alim bhi hai mutlaq

tere samne kahun kya main kahan kahan se guzra

kabhi wo the mujh se barham kabhi mujh pe mehrban the

ki 'figar' ishq mera kaDe imtihan se guzra

(547) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Justuju Mein Dekha Main Kahan Kahan Se Guzra In English By Famous Poet Figar Muradabadi. Teri Justuju Mein Dekha Main Kahan Kahan Se Guzra is written by Figar Muradabadi. Read famous Poem Teri Justuju Mein Dekha Main Kahan Kahan Se Guzra for youth and Student by Figar Muradabadi. Free Download Teri Justuju Mein Dekha Main Kahan Kahan Se Guzra in PDF.