Aarzu Hasrat-e-nakaam Se Aage Na BaDhi

aarzu hasrat-e-nakaam se aage na baDhi

fikr andesha-e-anjam se aage na baDhi

su-e-manzil kabhi do gam se aage na baDhi

zindagi maut ke ilzam se aage na baDhi

zulf-o-ruKH ke sahar-o-sham se aage na baDhi

aashiqi rahguzar-e-am se aage na baDhi

rah gai rifat-e-parwaz ki hasrat dil mein

par-fishani qafas-o-dam se aage na baDhi

manzil-e-be-KHudi-e-shauq ki azmat malum

tishna-kaamon ki nazar jam se aage na baDhi

kitni shamen gain aur kitne sawere aae

nigah-e-muntazir ek sham se aage na baDhi

paki-e-nafs ki azmat ka to kya zikr 'figar'

zohd ki baat bhi ehram se aage na baDhi

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aarzu Hasrat-e-nakaam Se Aage Na BaDhi In English By Famous Poet Figar Unnavi. Aarzu Hasrat-e-nakaam Se Aage Na BaDhi is written by Figar Unnavi. Read famous Poem Aarzu Hasrat-e-nakaam Se Aage Na BaDhi for youth and Student by Figar Unnavi. Free Download Aarzu Hasrat-e-nakaam Se Aage Na BaDhi in PDF.