Chala Hun Apni Manzil Ki Taraf To Shadman Ho Kar

chala hun apni manzil ki taraf to shadman ho kar

kahin mayusi-e-dil ho na rahzan pasban ho kar

hamari dastan ho kar tumhaari dastan ho kar

kahan pahunchi mohabbat karwan-dar-karwan ho kar

mere zauq-e-ubudiyyat ki takmil ai maaz-allah

jabin inam-e-sajda de rahi hai aastan ho kar

KHud apne soz se jalna to har ek shama ko aaya

wo parwana jo KHakistar hai soz-e-digaran ho kar

kali ka muskurana kah raha hai dastan un ki

KHizan jab aai ham-rah-e-bahaar-e-gulistan ho kar

hamein ujDe nasheman ki jab apne yaad aati hai

qafas ki tiliyan jalti hain shaKH-e-ashiyan ho kar

'figar' aah-o-fughan se kam na thi azmat mere gham ki

magar kuchh aur rutba baDh gaya soz-e-nihan ho kar

(944) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chala Hun Apni Manzil Ki Taraf To Shadman Ho Kar In English By Famous Poet Figar Unnavi. Chala Hun Apni Manzil Ki Taraf To Shadman Ho Kar is written by Figar Unnavi. Read famous Poem Chala Hun Apni Manzil Ki Taraf To Shadman Ho Kar for youth and Student by Figar Unnavi. Free Download Chala Hun Apni Manzil Ki Taraf To Shadman Ho Kar in PDF.