Kisi Apne Se Hoti Hai Na Begane Se Hoti Hai

kisi apne se hoti hai na begane se hoti hai

jo ulfat ek diwane ko diwane se hoti hai

subu se jam se mina se paimane se hoti hai

mohabbat mai se ho kar sare mai-KHane se hoti hai

koi qissa ho koi waqia koi hikayat ho

tasalli dil ko dard-e-dil ke afsane se hoti hai

meri tauba se kah do wo bhi aa kar shauq se sun le

ajab aawaz paida dal ke paimane se hoti hai

nazar se chhupne wale dil se aaKHir kyun nahin chhupte

ye kaisi be-hijabi aaina-KHane se hoti hai

bahaar-e-chand-roza se koi mange to kya mange

KHizan ko bhi nadamat hath phailane se hoti hai

ghaTaen gham ki chhaT jati hain un ke muskurane se

ki jaise subh paida raat Dhal jaane se hoti hai

'figar' ehsas-e-dil mein har taraf kanTe hi kanTe hain

yahi taskin gulshan mein bahaar aane se hoti hai

(767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Apne Se Hoti Hai Na Begane Se Hoti Hai In English By Famous Poet Figar Unnavi. Kisi Apne Se Hoti Hai Na Begane Se Hoti Hai is written by Figar Unnavi. Read famous Poem Kisi Apne Se Hoti Hai Na Begane Se Hoti Hai for youth and Student by Figar Unnavi. Free Download Kisi Apne Se Hoti Hai Na Begane Se Hoti Hai in PDF.