Jurat-e-ishq Hawas-kar Hui Jati Hai

jurat-e-ishq hawas-kar hui jati hai

be-piye tauba gunahgar hui jati hai

dil hai afsurda to be-rang hai har rang-e-bahaar

bu-e-gul bhi KHalish-e-KHar hui jati hai

bawajude-ki junun par hain KHirad ke pahre

phir bhi zanjir ki jhankar hui jati hai

har nafas mauj-e-fana tere thapeDon ke tufail

kashti-e-umr-e-rawan par hui jati hai

jo namaz aaj sar-e-dar ada ki main ne

sajda-e-shukr ka mear hui jati hai

jitni aasaniyan hoti hain faraham din raat

zindagi utni hi dushwar hui jati hai

jab se dekha hai kisi ke ruKH-e-raushan ko 'figar'

aankh har jalwe se bezar hui jati hai

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jurat-e-ishq Hawas-kar Hui Jati Hai In English By Famous Poet Figar Unnavi. Jurat-e-ishq Hawas-kar Hui Jati Hai is written by Figar Unnavi. Read famous Poem Jurat-e-ishq Hawas-kar Hui Jati Hai for youth and Student by Figar Unnavi. Free Download Jurat-e-ishq Hawas-kar Hui Jati Hai in PDF.