Aai Hai Kuchh Na Puchh Qayamat Kahan Kahan

aai hai kuchh na puchh qayamat kahan kahan

uf le gai hai mujh ko mohabbat kahan kahan

betabi-o-sukun ki huin manzilen tamam

bahlaen tujh se chhuT ke tabiat kahan kahan

furqat ho ya visal wahi iztirab hai

tera asar hai ai gham-e-furqat kahan kahan

har jumbish-e-nigah mein sad-kaif be-KHudi

bharti phiregi husn ki niyyat kahan kahan

rah-e-talab mein chhoD diya dil ka sath bhi

phirte liye hue ye musibat kahan kahan

dil ke ufaq tak ab to hain parchhaiyan teri

le jae ab to dekh ye wahshat kahan kahan

ai nargis-e-siyah bata de tere nisar

kis kis ko hai ye hosh ye ghaflat kahan kahan

nairang-e-ishq ki hai koi intiha ki ye

ye gham kahan kahan ye masarrat kahan kahan

beganagi par us ki zamane se ehtiraaz

dar-parda us ada ki shikayat kahan kahan

farq aa gaya tha daur-e-hayat-o-mamat mein

aai hai aaj yaad wo surat kahan kahan

jaise fana baqa mein bhi koi kami si ho

mujh ko paDi hai teri zarurat kahan kahan

duniya se ai dal itni tabiat bhari na thi

tere liye uThai nadamat kahan kahan

ab imtiyaz-e-ishq-o-hawas bhi nahin raha

hoti hai teri chashm-e-inayat kahan kahan

har gam par tariq-e-mohabbat mein maut thi

is rah mein khule dar-e-rahmat kahan kahan

hosh-o-junun bhi ab to bas ek baat hain 'firaq'

hoti hai us nazar ki shararat kahan kahan

(943) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aai Hai Kuchh Na Puchh Qayamat Kahan Kahan In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Aai Hai Kuchh Na Puchh Qayamat Kahan Kahan is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Aai Hai Kuchh Na Puchh Qayamat Kahan Kahan for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Aai Hai Kuchh Na Puchh Qayamat Kahan Kahan in PDF.