Aaj Bhi Qafila-e-ishq Rawan Hai Ki Jo Tha

aaj bhi qafila-e-ishq rawan hai ki jo tha

wahi mil aur wahi sang-e-nishan hai ki jo tha

phir tera gham wahi ruswa-e-jahan hai ki jo tha

phir fasana ba-hadis-e-digran hai ki jo tha

manzilen gard ke manind uDi jati hain

wahi andaz-e-jahan-e-guzaran hai ki jo tha

zulmat o nur mein kuchh bhi na mohabbat ko mila

aaj tak ek dhundalke ka saman hai ki jo tha

yun to is daur mein be-kaif si hai bazm-e-hayat

ek hangama sar-e-ritl-e-giran hai ki jo tha

lakh kar jaur-o-sitam lakh kar ehsan-o-karam

tujh pe ai dost wahi wahm-o-guman hai ki jo tha

aaj phir ishq do-alam se juda hota hai

aastinon mein liye kaun-o-makan hai ki jo tha

ishq afsurda nahin aaj bhi afsurda bahut

wahi kam kam asr-e-soz-e-nihan hai ki jo tha

nazar aa jate hain tum ko to bahut nazuk baal

dil mera kya wahi ai shisha-giran hai ki jo tha

jaan de baiThe the ek bar hawas wale bhi

phir wahi marhala-e-sud-o-ziyan hai ki jo tha

aaj bhi said-gah-e-ishq mein husan-e-saffak

liye abru ki lachakti si kaman hai ki jo tha

phir teri chashm-e-suKHan-sanj ne chheDi koi baat

wahi jadu hai wahi husn-e-bayan hai ki jo tha

raat bhar husn par aae bhi gae sau sau rang

sham se ishq abhi tak nigaran hai ki jo tha

jo bhi kar jaur-o-sitam jo bhi kar ehsan-o-karam

tujh pe ai dost wahi wahm-o-guman hai ki jo tha

aankh jhapki ki idhar KHatm hua roz-e-visal

phir bhi is din pe qayamat ka guman hai ki jo tha

qurb hi kam hai na duri hi ziyaada lekin

aaj wo rabt ka ehsas kahan hai ki jo tha

tira-baKHti nahin jati dil-e-sozan ki 'firaq'

shama ke sar pe wahi aaj dhuan hai ki jo tha

(1524) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Bhi Qafila-e-ishq Rawan Hai Ki Jo Tha In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Aaj Bhi Qafila-e-ishq Rawan Hai Ki Jo Tha is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Aaj Bhi Qafila-e-ishq Rawan Hai Ki Jo Tha for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Aaj Bhi Qafila-e-ishq Rawan Hai Ki Jo Tha in PDF.