Aankhon Mein Jo Baat Ho Gai Hai

aankhon mein jo baat ho gai hai

ek sharh-e-hayat ho gai hai

jab dil ki wafat ho gai hai

har chiz ki raat ho gai hai

gham se chhuT kar ye gham hai mujh ko

kyun gham se najat ho gai hai

muddat se KHabar mili na dil ki

shayad koi baat ho gai hai

jis shai pe nazar paDi hai teri

taswir-e-hayat ho gai hai

ab ho mujhe dekhiye kahan subh

un zulfon mein raat ho gai hai

dil mein tujh se thi jo shikayat

ab gham ke nikat ho gai hai

iqrar-e-gunah-e-ishq sun lo

mujh se ek baat ho gai hai

jo chiz bhi mujh ko hath aai

teri saughat ho gai hai

kya jaaniye maut pahle kya thi

ab meri hayat ho gai hai

ghaTte ghaTte teri inayat

meri auqat ho gai hai

us chashm-e-siyah ki yaad yaksar

sham-e-zulmat ho gai hai

is daur mein zindagi bashar ki

bimar ki raat ho gai hai

jiti hui bazi-e-mohabbat

khela hun to mat ho gai hai

miTne lagin zindagi ki qadren

jab gham se najat ho gai hai

wo chahen to waqt bhi badal jae

jab aae hain raat ho gai hai

duniya hai kitni be-Thikana

aashiq ki baraat ho gai hai

pahle wo nigah ek kiran thi

ab barq-sifat ho gai hai

jis chiz ko chhu diya hai tu ne

ek barg-e-nabaat ho gai hai

ikka-dukka sada-e-zanjir

zindan mein raat ho gai hai

ek ek sifat 'firaq' us ki

dekha hai to zat ho gai hai

(1209) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Jo Baat Ho Gai Hai In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Aankhon Mein Jo Baat Ho Gai Hai is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Aankhon Mein Jo Baat Ho Gai Hai for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Aankhon Mein Jo Baat Ho Gai Hai in PDF.