Ab Aksar Chup Chup Se Rahen Hain Yunhi Kabhu Lab Kholen Hain

ab aksar chup chup se rahen hain yunhi kabhu lab kholen hain

pahle 'firaq' ko dekha hota ab to bahut kam bolen hain

din mein hum ko dekhne walo apne apne hain auqat

jao na tum in KHushk aankhon par hum raaton ko ro len hain

fitrat meri ishq-o-mohabbat qismat meri tanhai

kahne ki naubat hi na aai hum bhi kisu ke ho len hain

KHunuk siyah mahke hue sae phail jaen hain jal-thal par

kin jatanon se meri ghazlen raat ka juDa kholen hain

bagh mein wo KHwab-awar aalam mauj-e-saba ke ishaaron par

Dali Dali nauras patte sahj sahj jab Dolen hain

uf wo labon par mauj-e-tabassum jaise karwaTen len kaunde

hae wo aalam-e-jumbish-e-mizhgan jab fitne par taulen hain

naqsh-o-nigar-e-ghazal mein jo tum ye shadabi pao ho

hum ashkon mein kaenat ke nok-e-qalam ko Dubo len hain

in raaton ko harim-e-naz ka ek aalam hue hai nadim

KHalwat mein wo narm ungliyan band-e-qaba jab kholen hain

gham ka fasana sunne walo aaKHir-e-shab aaram karo

kal ye kahani phir chheDenge hum bhi zara ab so len hain

hum log ab to ajnabi se hain kuchh to batao haal-e-'firaq'

ab to tumhin ko pyar karen hain ab to tumhin se bolen hain

(830) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Aksar Chup Chup Se Rahen Hain Yunhi Kabhu Lab Kholen Hain In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Ab Aksar Chup Chup Se Rahen Hain Yunhi Kabhu Lab Kholen Hain is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Ab Aksar Chup Chup Se Rahen Hain Yunhi Kabhu Lab Kholen Hain for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Ab Aksar Chup Chup Se Rahen Hain Yunhi Kabhu Lab Kholen Hain in PDF.