Ab Daur-e-asman Hai Na Daur-e-hayat Hai

ab daur-e-asman hai na daur-e-hayat hai

ai dard-e-hijr tu hi bata kitni raat hai

har kaenat se ye alag kaenat hai

hairat-sara-e-ishq mein din hai na raat hai

jina jo aa gaya to ajal bhi hayat hai

aur yun to umr-e-KHizr bhi kya be-sabaat hai

kyun intiha-e-hosh ko kahte hain be-KHudi

KHurshid hi ki aaKHiri manzil to raat hai

hasti ko jis ne zalzala-saman bana diya

wo dil qarar pae muqaddar ki baat hai

ye mushagafiyan hain giran tab-e-ishq par

kis ko dimagh-e-kawish-e-zat-o-sifat hai

toDa hai la-makan ki hadon ko bhi ishq ne

zindan-e-aql teri to kya kaenat hai

gardun sharar-e-barq-e-dil-e-be-qarar dekh

jin se ye teri taron bhari raat raat hai

gum ho ke har jagah hain za-KHud raftagan-e-ishq

un ki bhi ahl-e-kashf-o-karamat zat hai

hasti ba-juz fana-e-musalsal ke kuchh nahin

phir kis liye ye fikr-e-qarar-o-sabaat hai

us jaan-e-dosti ka KHulus-e-nihan na puchh

jis ka sitam bhi ghairat-e-sad-iltifat hai

yun to hazar dard se rote hain bad-nasib

tum dil dukhao waqt-e-musibat to baat hai

unwan ghaflaton ke hain qurbat ho ya visal

bas fursat-e-hayat 'firaq' ek raat hai

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Daur-e-asman Hai Na Daur-e-hayat Hai In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Ab Daur-e-asman Hai Na Daur-e-hayat Hai is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Ab Daur-e-asman Hai Na Daur-e-hayat Hai for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Ab Daur-e-asman Hai Na Daur-e-hayat Hai in PDF.