Bahsen ChhiDi Hui Hain Hayat-o-mamat Ki

bahsen chhiDi hui hain hayat-o-mamat ki

sau baat ban gai hai 'firaq' ek baat ki

saz-nawa-e-dard hijabaat-e-dahr mein

kitni dukhi hui hain ragen kaenat ki

rakh li jinhon ne kashmakash-e-zindagi ki laj

be-dardiyan na puchhiye un se hayat ki

yun fart-e-be-KHudi se mohabbat mein jaan de

tujh ko bhi kuchh KHabar na ho is wardat ki

hai ishq us tabassum-e-jaan-baKHsh ka shahid

ranginiyan liye hai jo subh-e-hayat ki

chheDa hai dard-e-ishq ne tar-e-rag-e-adam

surat pakaD chali hain nawaen hayat ki

sham-e-abad ko jalwa-e-subh-e-bahaar de

rudad chheD zindagi-e-be-sabaat ki

us bazm-e-be-KHudi mein wajud-e-adam kahan

chalti nahin hai sans hayat-o-mamat ki

sau dard ek tabassum-e-pinhan mein band hain

taswir hun 'firaq' nashat-e-hayat ki

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahsen ChhiDi Hui Hain Hayat-o-mamat Ki In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Bahsen ChhiDi Hui Hain Hayat-o-mamat Ki is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Bahsen ChhiDi Hui Hain Hayat-o-mamat Ki for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Bahsen ChhiDi Hui Hain Hayat-o-mamat Ki in PDF.