Bahut Pahle Se Un Qadmon Ki AahaT Jaan Lete Hain

bahut pahle se un qadmon ki aahaT jaan lete hain

tujhe ai zindagi hum dur se pahchan lete hain

meri nazren bhi aise qatilon ka jaan o iman hain

nigahen milte hi jo jaan aur iman lete hain

jise kahti hai duniya kaamyabi wae na-dani

use kin qimaton par kaamyab insan lete hain

nigah-e-baada-gun yun to teri baaton ka kya kahna

teri har baat lekin ehtiyatan chhan lete hain

tabiat apni ghabraati hai jab sunsan raaton mein

hum aise mein teri yaadon ki chadar tan lete hain

KHud apna faisla bhi ishq mein kafi nahin hota

use bhi kaise kar guzren jo dil mein Than lete hain

hayat-e-ishq ka ek ek nafas jam-e-shahadat hai

wo jaan-e-naz-bardaran koi aasan lete hain

ham-ahangi mein bhi ek chashni hai iKHtilafon ki

meri baaten ba-unwan-e-digar wo man lete hain

teri maqbuliyat ki wajh wahid teri ramziyyat

ki us ko mante hi kab hain jis ko jaan lete hain

ab is ko kufr manen ya bulandi-e-nazar jaanen

KHuda-e-do-jahan ko de ke hum insan lete hain

jise surat batate hain pata deti hai sirat ka

ibarat dekh kar jis tarah mani jaan lete hain

tujhe ghaTa na hone denge karobar-e-ulfat mein

hum apne sar tera ai dost har ehsan lete hain

hamari har nazar tujh se nai saugandh khati hai

to teri har nazar se hum naya paiman lete hain

rafiq-e-zindagi thi ab anis-e-waqt-e-aKHir hai

tera ai maut hum ye dusra ehsan lete hain

zamana wardat-e-qalb sunne ko tarasta hai

isi se to sar aankhon par mera diwan lete hain

'firaq' aksar badal kar bhes milta hai koi kafir

kabhi hum jaan lete hain kabhi pahchan lete hain

(1561) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Pahle Se Un Qadmon Ki AahaT Jaan Lete Hain In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Bahut Pahle Se Un Qadmon Ki AahaT Jaan Lete Hain is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Bahut Pahle Se Un Qadmon Ki AahaT Jaan Lete Hain for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Bahut Pahle Se Un Qadmon Ki AahaT Jaan Lete Hain in PDF.