Gham Tera Jalwa-gah-e-kaun-o-makan Hai Ki Jo Tha

gham tera jalwa-gah-e-kaun-o-makan hai ki jo tha

yani insan wahi shoala-ba-jaan hai ki jo tha

phir wahi rang-e-takallum nigah-e-naz mein hai

wahi andaz wahi husn-e-bayan hai ki jo tha

kab hai inkar tere lutf-o-karam se lekin

tu wahi dushman-e-dil dushman-e-jaan hai ki jo tha

ishq afsurda nahin aaj bhi afsurda bahut

wahi kam kam asr-e-soz-e-nihan hai ki jo tha

qurb hi kam hai na duri hi ziyaada lekin

aaj wo rabt ka ehsas kahan hai ki jo tha

nazar aa jate hain tum ko to bahut nazuk baal

dil mera kya wahi ai shisha-giran hai ki jo tha

jaan de baiThe the ek bar hawas wale bhi

phir wahi marhala-e-sud-o-ziyan hai ki jo tha

husn ko khinch to leta hai abhi tak lekin

wo asar jazb-e-mohabbat mein kahan hai ki jo tha

aaj bhi said-gah-e-ishq mein husan-e-saffak

liye abru ki lachakti si kaman hai ki jo tha

phir teri chashm-e-suKHan-sanj ne chheDi koi baat

wahi jadu hai wahi husn-e-bayan hai ki jo tha

phir sar-e-mai-kada-e-ishq hai ek barish-e-nur

chhalke jamon se charaghan ka saman hai ki jo tha

phir wahi KHair-nigahi hai tere jalwon se

wahi aalam tera ai barq-e-daman hai ki jo tha

aaj bhi aag dabi hai dil-e-insan mein 'firaq'

aaj bhi sinon se uThta wo dhuan hai ki jo tha

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Tera Jalwa-gah-e-kaun-o-makan Hai Ki Jo Tha In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Gham Tera Jalwa-gah-e-kaun-o-makan Hai Ki Jo Tha is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Gham Tera Jalwa-gah-e-kaun-o-makan Hai Ki Jo Tha for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Gham Tera Jalwa-gah-e-kaun-o-makan Hai Ki Jo Tha in PDF.