Har Nala Tere Dard Se Ab Aur Hi Kuchh Hai

har nala tere dard se ab aur hi kuchh hai

har naghma sar-e-bazm-e-tarab aur hi kuchh hai

arbab-e-wafa jaan bhi dene ko hain tayar

hasti ka magar husn-e-talab aur hi kuchh hai

ye kaam na le nala-o-faryaad-o-fughan se

aflak ulaT dene ka Dhab aur hi kuchh hai

ek silsila-e-raaz hai jina ki ho marna

jab aur hi kuchh tha magar ab aur hi kuchh hai

kuchh mehr-e-qayamat hai na kuchh nar-e-jahannam

hoshyar ki wo qahr-o-ghazab aur hi kuchh hai

mazhab ki KHarabi hai na aKHlaq ki pasti

duniya ke masaib ka sabab aur hi kuchh hai

behuda-sari sajde mein hai jaan khapana

aain-e-mohabbat mein adab aur hi kuchh hai

kya husn ke andaz-e-taghaful ki shikayat

paiman-e-wafa ishq ka jab aur hi kuchh hai

duniya ko jaga de jo adam ko bhi sula de

sunte hain ki wo roz wo shab aur hi kuchh hai

aankhon ne 'firaq' aaj na puchho jo dikhaya

jo kuchh nazar aata hai wo sab aur hi kuchh hai

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Nala Tere Dard Se Ab Aur Hi Kuchh Hai In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Har Nala Tere Dard Se Ab Aur Hi Kuchh Hai is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Har Nala Tere Dard Se Ab Aur Hi Kuchh Hai for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Har Nala Tere Dard Se Ab Aur Hi Kuchh Hai in PDF.