Jaur-o-be-mehri-e-ighmaz Pe Kya Rota Hai

jaur-o-be-mehri-e-ighmaz pe kya rota hai

mehrban bhi koi ho jaega jaldi kya hai

kho diya tum ko to hum puchhte phirte hain yahi

jis ki taqdir bigaD jae wo karta kya hai

dil ka ek kaam jo hota nahin ek muddat se

tum zara hath laga do to hua rakkha hai

nigah-e-shoKH mein aur dil mein hain choTen kya kya

aaj tak hum na samajh pae ki jhagDa kya hai

ishq se tauba bhi hai husn se shikwe bhi hazar

kahiye to hazrat-e-dil aap ka mansha kya hai

zinat-e-dosh tera nama-e-amal na ho

teri dastar se waiz ye laTakta kya hai

han abhi waqt ka aaina dikhae kya kya

dekhte jao zamana abhi dekha kya hai

na yagane hain na begane teri mahfil mein

na koi ghair yahan hai na koi apna hai

nigah-e-mast ko jumbish na hui go sar-e-bazm

kuchh to is jam-e-laba-lab se abhi chhalka hai

raat-din phirti hai palkon ke jo sae sae

dil mera us nigah-e-naz ka diwana hai

hum judai se bhi kuchh kaam to le hi lenge

be-niyazana talluq hi chhuTa achchha hai

un se baDh-chaDh ke to ai dost hain yaaden in ki

naz-o-andaz-o-ada mein teri rakkha kya hai

aisi baaton se badalti hai kahin fitrat-e-husn

jaan bhi de de agar koi to kya hota hai

teri aankhon ko bhi inkar teri zulf ko bhi

kis ne ye ishq ko diwana bana rakkha hai

dil tera jaan teri aah teri ashk tere

jo hai ai dost wo tera hai hamara kya hai

dar-e-daulat pe duaen si suni hain main ne

dekhiye aaj faqiron ka kidhar phera hai

tujh ko ho jaenge shaitan ke darshan waiz

Dal kar munh ko gareban mein kabhi dekha hai

hum kahe dete hain chaalon mein na aao un ki

sarwat-o-jah ke ishwon se bacho dhoka hai

yahi gar aankh mein rah jae to hai chingari

qatra-e-ashk jo bah jae to ek dariya hai

zulf-e-shab-gun ke siwa nargis-e-jadu ke siwa

dil ko kuchh aur balaon ne bhi aa ghera hai

lab-e-ejaz ki saugand ye jhankar thi kya

teri KHamoshi ke manind abhi kuchh TuTa hai

dar par gah nazar gah su-e-shahr-e-nigar

kuchh sunen hum bhi to ai ishq irada kya hai

aa ki ghurbat-kada-e-dahr mein ji bahlaen

ai dil us jalwa-gah-e-naz mein kya rakkha hai

zaKHm hi zaKHm hun main subh ki manind 'firaq'

raat bhar hijr ki lazzat se maza luTa hai

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaur-o-be-mehri-e-ighmaz Pe Kya Rota Hai In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Jaur-o-be-mehri-e-ighmaz Pe Kya Rota Hai is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Jaur-o-be-mehri-e-ighmaz Pe Kya Rota Hai for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Jaur-o-be-mehri-e-ighmaz Pe Kya Rota Hai in PDF.