Jin Ki Zindagi Daman Tak Hai Bechaare Farzane Hain

jin ki zindagi daman tak hai bechaare farzane hain

KHak uDate phirte hain jo diwane diwane hain

wahdat-e-insan apne ko shair se manwa leti hai

kya anjaane kya begane sab jaane-pahchane hain

mujh ko shair kahne walo main kya meri ghazlen kya

main ne to bas sarkar-e-ishq mein kuchh parche guzrane hain

bhole-bhaale mahbubon se danw-pech kuchh chal na saka

hum ye samajhte rahe abhi tak hum bhi kitne siyane hain

hosh-o-KHirad kya josh-e-junun kya ulTi ganga bahti hai

kya farzane kaise siyane yaro sab diwane hain

jal-bujhne ki bhi taufiq kahan ushshaq ki qismat mein

ek an-dekhi sham-e-bazm ke dil wale parwane hain

shair se hamdardi sikho duniya ke gham-KHane mein

jitne gham hain duniya bhar mein is ke mane-jaane hain

shahr-e-nigaran shahr-e-nigaran kaun batae kaisa hai

puchhte ho kya hum se yaro hum bhi to begane hain

bas wo unhi se fitrat ko KHalon ke libas pahnata hai

shair ke palle kya hai giton ke tane-bane hain

kitne begane hote hain ye jaane-pahchane log

jaane hue bhi ba-qaul hamare anjaane begane hain

aaj se pahle kab the watan mein be-watani ke ye lachchhan

logon ko ye kahte suna hai ghar bhi ghurbat-KHane hain

kuchh nahin khulta kis ki zad mein ye hasti-e-gurezan hai

hum jo itne bache phirte hain kin tiron ke nishane hain

is gum-karda-e-dida-o-dil ko kal tak kitne jaante the

ab to 'firaq'-e-be-KHud ke aalam aalam afsane hain

(917) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jin Ki Zindagi Daman Tak Hai Bechaare Farzane Hain In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Jin Ki Zindagi Daman Tak Hai Bechaare Farzane Hain is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Jin Ki Zindagi Daman Tak Hai Bechaare Farzane Hain for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Jin Ki Zindagi Daman Tak Hai Bechaare Farzane Hain in PDF.