Lutf-saman Itab-e-yar Bhi Hai

lutf-saman itab-e-yar bhi hai

mahram-e-ishq sharmsar bhi hai

sust-paiman o be-niyaz sahi

husn taswir-e-intizar bhi hai

kya kare wo nigah-e-lutf ki ishq

shadman bhi hai sogwar bhi hai

gulshan-e-ishq hun KHizan meri

wajh-e-rangini-e-bahaar bhi hai

uqda-e-ishq ko na tu samjha

yahi uqda kushud-e-kar bhi hai

apni taqdir apne hath mein le

shamil-e-jabr iKHtiyar bhi hai

aap apna chaDhaw apna utar

zindagi nashsha hai KHumar bhi hai

un nigahon mein hai shikayat si

ishq shayad jafa-shiar bhi hai

dil se hai dur bhi nigah teri

dil ke andar hai dil ke par bhi hai

sar-ba-sar gharq-e-nur ho lekin

zindagi iktisab-e-nar bhi hai

kaun targhib-e-hosh de ki junun

be-KHabar bhi hai hoshiyar bhi hai

KHalwat-e-husn-o-ishq bhi hai udas

sard kuchh bazm-e-rozgar bhi hai

raaz us aankh ka nahin khulta

dil shakeba bhi be-qarar bhi hai

KHud tujhe bhi hui na jin ki KHabar

un jafaon ka kuchh shumar bhi hai

is mein lakhon nizam-e-shamsi hain

yun to dil tira-rozgar bhi hai

is ki zau us ki garmiyan mat puchh

zindagi nur bhi hai nar bhi hai

ishq-e-hijran-nasib ka bhi hai dhyan

tere wade ka e'tibar bhi hai

ishq hi se hain manzilen aabaad

karwan karwan pukar bhi hai

koi samjha use na dekh saka

nigah-e-shoKH sharmsar bhi hai

us se chhuT kar ye sochta hun 'firaq'

is mein kuchh apna iKHtiyar bhi hai

(787) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lutf-saman Itab-e-yar Bhi Hai In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Lutf-saman Itab-e-yar Bhi Hai is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Lutf-saman Itab-e-yar Bhi Hai for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Lutf-saman Itab-e-yar Bhi Hai in PDF.