Mai-kade Mein Aaj Ek Duniya Ko Izn-e-am Tha

mai-kade mein aaj ek duniya ko izn-e-am tha

daur-e-jam-e-be-KHudi begana-e-ayyam tha

ruh larzan aankh mahw-e-did dil ka nam tha

ishq ka aaghaz bhi shaista-e-anjam tha

rafta rafta ishq ko taswir-e-gham kar hi diya

husn bhi kitna KHarab-e-gardish-e-ayyam tha

gham-kade mein dahr ke yun to andhera tha magar

ishq ka dagh-e-siyah-baKHti charagh-e-sham tha

teri duzdida-nigahi yun to na-mahsus thi

han magar daftar ka daftar husn ka paigham tha

shaq ahl-e-shauq par thin us ki ismat-dariyan

sach hai lekin husn dar-parda bahut bad-nam tha

mahw the gulzar-e-ranga-rang ke naqsh-o-nigar

wahshaten thi dil ke sannaTe the dasht-e-sham tha

be-KHata tha husn har jaur-o-jafa ke baad bhi

ishq ke sar ta-abad ilzam hi ilzam tha

yun gareban-chaak duniya mein nahin hota koi

har khula gulshan shahid-e-gardish-e-ayyam tha

dekh husn-e-sharmagin dar-parda kya laya hai rang

ishq ruswa-e-jahan badnam hi badnam tha

raunaq-e-bazm-e-jahan tha go dil-e-gham-ghin 'firaq'

sard tha afsurda tha mahrum tha nakaam tha

(949) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mai-kade Mein Aaj Ek Duniya Ko Izn-e-am Tha In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Mai-kade Mein Aaj Ek Duniya Ko Izn-e-am Tha is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Mai-kade Mein Aaj Ek Duniya Ko Izn-e-am Tha for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Mai-kade Mein Aaj Ek Duniya Ko Izn-e-am Tha in PDF.