Mujhko Mara Hai Har Ek Dard O Dawa Se Pahle

mujh ko mara hai har ek dard o dawa se pahle

di saza ishq ne har jurm-o-KHata se pahle

aatish-e-ishq bhaDakti hai hawa se pahle

honT julte hain mohabbat mein dua se pahle

fitne barpa hue har ghuncha-e-sar-basta se

khul gaya raaz-e-chaman chaak-e-qaba se pahle

chaal hai baada-e-hasti ka chhalakta hua jam

hum kahan the tere naqsh-e-kaf-e-pa se pahle

ab kami kya hai tere be-sar-o-samanon ko

kuchh na tha teri qasam tark-e-wafa se pahle

ishq-e-bebak ko dawe the bahut KHalwat mein

kho diya sara bharam sharm-o-haya se pahle

KHud-baKHud chaak hue pairahan-e-lala-o-gul

chal gai kaun hawa baad-e-saba se pahle

ham-safar rah-e-adam mein na ho taron-bhari raat

hum pahunch jaenge is aabla-pa se pahle

parda-e-sharm mein sad-barq-e-tabassum ke nisar

hosh jate rahe nairang-e-haya se pahle

maut ke nam se Darte the hum ai shauq-e-hayat

tu ne to mar hi Dala tha qaza se pahle

be-takalluf bhi tera husn-e-KHud-ara tha kabhi

ek ada aur bhi thi husn-e-ada se pahle

ghaflaten hasti-e-fani ki bata dengi tujhe

jo mera haal tha ehsas-e-fana se pahle

hum unhen pa ke 'firaq' aur bhi kuchh khoe gae

ye takalluf to na the ahd-e-wafa se pahle

(1075) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Mara Hai Har Ek Dard O Dawa Se Pahle In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Mujhko Mara Hai Har Ek Dard O Dawa Se Pahle is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Mujhko Mara Hai Har Ek Dard O Dawa Se Pahle for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Mujhko Mara Hai Har Ek Dard O Dawa Se Pahle in PDF.