Narm Faza Ki KarwaTen Dil Ko Dukha Ke Rah Gain

narm faza ki karwaTen dil ko dukha ke rah gain

ThanDi hawaen bhi teri yaad dila ke rah gain

sham bhi thi dhuan dhuan husn bhi tha udas udas

dil ko kai kahaniyan yaad si aa ke rah gain

mujh ko KHarab kar gain nim-nigahiyan teri

mujh se hayat o maut bhi aankhen chura ke rah gain

husn-e-nazar-fareb mein kis ko kalam tha magar

teri adaen aaj to dil mein sama ke rah gain

tab kahin kuchh pata chala sidq-o-KHulus-e-husn ka

jab wo nigahen ishq se baaten bana ke rah gain

tere KHiram-e-naz se aaj wahan chaman khile

faslen bahaar ki jahan KHak uDa ke rah gain

puchh na un nigahon ki turfa karishma-saziyan

fitne sula ke rah gain fitne jaga ke rah gain

taron ki aankh bhi bhar aai meri sada-e-dard par

un ki nigahen bhi tera nam bata ke rah gain

uf ye zamin ki gardishen aah ye gham ki Thokaren

ye bhi to baKHt-e-KHufta ke shane hila ke rah gain

aur to ahl-e-dard kaun sambhaalta bhala

han teri shadmaniyan un ko rula ke rah gain

yaad kuchh aain is tarah bhuli hui kahaniyan

khoe hue dilon mein aaj dard uTha ke rah gain

saz-e-nashat-e-zindagi aaj laraz laraz uTha

kis ki nigahen ishq ka dard suna ke rah gain

tum nahin aae aur raat rah gai rah dekhti

taron ki mahfilen bhi aaj aankhen bichha ke rah gain

jhum ke phir chalin hawaen wajd mein aain phir fazaen

phir teri yaad ki ghaTaen sinon pe chha ke rah gain

qalb o nigah ki ye id uf ye maal-e-qurb-o-did

charKH ki gardishen tujhe mujh se chhupa ke rah gain

phir hain wahi udasiyan phir wahi suni kaenat

ahl-e-tarab ki mahfilen rang jama ke rah gain

kaun sukun de saka gham-zadagan-e-ishq ko

bhigti raaten bhi 'firaq' aag laga ke rah gain

(966) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Narm Faza Ki KarwaTen Dil Ko Dukha Ke Rah Gain In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Narm Faza Ki KarwaTen Dil Ko Dukha Ke Rah Gain is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Narm Faza Ki KarwaTen Dil Ko Dukha Ke Rah Gain for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Narm Faza Ki KarwaTen Dil Ko Dukha Ke Rah Gain in PDF.