Nigah-e-naz Ne Parde UThae Hain Kya Kya

nigah-e-naz ne parde uThae hain kya kya

hijab ahl-e-mohabbat ko aae hain kya kya

jahan mein thi bas ek afwah tere jalwon ki

charagh-e-dair-o-haram jhilmilae hain kya kya

do-chaar barq-e-tajalli se rahne walon ne

fareb narm-nigahi ke khae hain kya kya

dilon pe karte hue aaj aati jati choT

teri nigah ne pahlu bachae hain kya kya

nisar nargis-e-mai-gun ki aaj paimane

labon tak aae hue thartharae hain kya kya

wo ek zara si jhalak barq-e-kam-nigahi ki

jigar ke zaKHm-e-nihan muskurae hain kya kya

charagh-e-tur jale aaina-dar-aina

hijab barq-e-ada ne uThae hain kya kya

ba-qadr-e-zauq-e-nazar did-e-husn kya ho magar

nigah-e-shauq mein jalwe samae hain kya kya

kahin charagh kahin gul kahin dil-e-barbaad

KHiram-e-naz ne fitne uThae hain kya kya

taghaful aur baDha us ghazal-e-rana ka

fusun-e-gham ne bhi jadu jagae hain kya kya

hazar fitna-e-bedar KHwab-e-rangin mein

chaman mein ghuncha-e-gul-rang lae hain kya kya

tere KHulus-e-nihan ka to aah kya kahna

suluk uchaTTe bhi dil mein samae hain kya kya

nazar bacha ke tere ishwa-ha-e-pinhan ne

dilon mein dard-e-mohabbat uThae hain kya kya

payam-e-husn payam-e-junun payam-e-fana

teri nigah ne fasane sunae hain kya kya

tamam husn ke jalwe tamam mahrumi

bharam nigah ne apne ganwae hain kya kya

'firaq' rah-e-wafa mein subuk-rawi teri

baDe-baDon ke qadam Dagmagae hain kya kya

(1011) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-naz Ne Parde UThae Hain Kya Kya In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Nigah-e-naz Ne Parde UThae Hain Kya Kya is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Nigah-e-naz Ne Parde UThae Hain Kya Kya for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Nigah-e-naz Ne Parde UThae Hain Kya Kya in PDF.