Sar Mein Sauda Bhi Nahin Dil Mein Tamanna Bhi Nahin

sar mein sauda bhi nahin dil mein tamanna bhi nahin

lekin is tark-e-mohabbat ka bharosa bhi nahin

dil ki ginti na yaganon mein na beganon mein

lekin us jalwa-gah-e-naz se uThta bhi nahin

mehrbani ko mohabbat nahin kahte ai dost

aah ab mujh se teri ranjish-e-beja bhi nahin

ek muddat se teri yaad bhi aai na hamein

aur hum bhul gae hon tujhe aisa bhi nahin

aaj ghaflat bhi un aankhon mein hai pahle se siwa

aaj hi KHatir-e-bimar shakeba bhi nahin

baat ye hai ki sukun-e-dil-e-wahshi ka maqam

kunj-e-zindan bhi nahin wusat-e-sahra bhi nahin

are sayyaad hamin gul hain hamin bulbul hain

tu ne kuchh aah suna bhi nahin dekha bhi nahin

aah ye majma-e-ahbab ye bazm-e-KHamosh

aaj mahfil mein 'firaq'-e-suKHan-ara bhi nahin

ye bhi sach hai ki mohabbat pe nahin main majbur

ye bhi sach hai ki tera husn kuchh aisa bhi nahin

yun to hangame uThate nahin diwana-e-ishq

magar ai dost kuchh aison ka Thikana bhi nahin

fitrat-e-husn to malum hai tujh ko hamdam

chaara hi kya hai ba-juz sabr so hota bhi nahin

munh se hum apne bura to nahin kahte ki 'firaq'

hai tera dost magar aadmi achchha bhi nahin

(3825) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar Mein Sauda Bhi Nahin Dil Mein Tamanna Bhi Nahin In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Sar Mein Sauda Bhi Nahin Dil Mein Tamanna Bhi Nahin is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Sar Mein Sauda Bhi Nahin Dil Mein Tamanna Bhi Nahin for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Sar Mein Sauda Bhi Nahin Dil Mein Tamanna Bhi Nahin in PDF.