Samajhta Hun Ki Tu Mujhse Juda Hai

samajhta hun ki tu mujh se juda hai

shab-e-furqat mujhe kya ho gaya hai

tera gham kya hai bas ye jaanta hun

ki meri zindagi mujh se KHafa hai

kabhi KHush kar gai mujh ko teri yaad

kabhi aankhon mein aansu aa gaya hai

hijabon ko samajh baiTha main jalwa

nigahon ko baDa dhoka hua hai

bahut dur ab hai dil se yaad teri

mohabbat ka zamana aa raha hai

na ji KHush kar saka tera karam bhi

mohabbat ko baDa dhoka raha hai

kabhi taDpa gaya hai dil tera gham

kabhi dil ko sahaara de gaya hai

shikayat teri dil se karte karte

achanak pyar tujh par aa gaya hai

jise chaunka ke tu ne pher li aankh

wo tera dard ab tak jagta hai

jahan hai maujzan rangini-e-husn

wahin dil ka kanwal lahra raha hai

gulabi hoti jati hain fazaen

koi is rang se sharma raha hai

mohabbat tujh se thi qabl-az-mohabbat

kuchh aisa yaad mujh ko aa raha hai

juda aaghaz se anjam se dur

mohabbat ek musalsal majra hai

KHuda-hafiz magar ab zindagi mein

faqat apna sahaara rah gaya hai

mohabbat mein 'firaq' itna na gham kar

zamane mein yahi hota raha hai

(873) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samajhta Hun Ki Tu Mujhse Juda Hai In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Samajhta Hun Ki Tu Mujhse Juda Hai is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Samajhta Hun Ki Tu Mujhse Juda Hai for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Samajhta Hun Ki Tu Mujhse Juda Hai in PDF.