Rasm-o-rah-e-dahr Kya Josh-e-mohabbat Bhi To Ho

rasm-o-rah-e-dahr kya josh-e-mohabbat bhi to ho

TuT jati hai har ek zanjir wahshat bhi to ho

zindagi kya maut kya do karwaTen hain ishq ki

sone wale chaunk uTThenge qayamat bhi to ho

harche baada-baad ke naron se duniya kanp uThi

ishq ke itna koi bargashta qismat bhi to ho

kar-zar-e-dahr mein har kaif har masti baja

kuchh sharik-e-be-KHudi rindana-e-jurat bhi to ho

kam nahin ahl-e-hawas ki bhi KHayal-araiyan

ye fana ki had se bhi baDh jaen himmat bhi to ho

kuchh ishaaraat-e-nihan hon to nigah-e-naz ke

bhanp lenge hum ye mahfil rashk-e-KHalwat bhi to ho

ab to kuchh ahl-e-raza bhi ho chale mayus se

har jafa-e-na-rawa ki kuchh nihayat bhi to ho

har nafas se aae bu-e-atish-e-sayyal-e-ishq

aag wo dil mein lahu mein wo hararat bhi to ho

ye tere jalwe ye chashm-e-shauq ki hairaniyan

barq-e-husn-e-yar nazzare ki fursat bhi to ho

gardish-e-dauran mein ek din aa rahega hosh bhi

KHatm ai chashm-e-siyah ye daur-e-ghaflat bhi to ho

har dil-afsurda se chingariyan uD jaengi

kuchh teri masum aankhon mein shararat bhi to ho

ab wo itna bhi nahin begana-e-wajh-e-malal

pursish-e-gham us ko aati hai zarurat bhi to ho

ek si hain ab to husn-o-ishq ki majburiyan

hum hon ya tum ho wo ahd-e-ba-faraghat bhi to ho

dekh kar rang-e-mizaj-e-yar kya kahiye 'firaq'

is mein kuchh gunjaish-e-shukr-o-shikayat bhi to ho

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rasm-o-rah-e-dahr Kya Josh-e-mohabbat Bhi To Ho In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Rasm-o-rah-e-dahr Kya Josh-e-mohabbat Bhi To Ho is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Rasm-o-rah-e-dahr Kya Josh-e-mohabbat Bhi To Ho for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Rasm-o-rah-e-dahr Kya Josh-e-mohabbat Bhi To Ho in PDF.