Abhi Niklo Na Ghar Se Tang Aa Ke

abhi niklo na ghar se tang aa ke

abhi achchhe nahin tewar hawa ke

falak se main chala shabnam ki surat

zamin ne rakh diya patthar bana ke

mere zaKHmi labon par kuchh nahin hai

siwae ek lafz-e-be-nawa ke

hamari KHamushi ne laj rakh li

nahin to hath kaT jae sada ke

badan KHushbu ka larzan KHauf se hai

hawa ko raaz-e-dil apna suna ke

saron ke dip hain nezon pe raushan

main kaise dekhun manzar karbala ke

tumhaare qatl ki KHabren chhapi hain

'firaq' aKHbar to dekho uTha ke

(3633) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Niklo Na Ghar Se Tang Aa Ke In English By Famous Poet Firaq Jalalpuri. Abhi Niklo Na Ghar Se Tang Aa Ke is written by Firaq Jalalpuri. Read famous Poem Abhi Niklo Na Ghar Se Tang Aa Ke for youth and Student by Firaq Jalalpuri. Free Download Abhi Niklo Na Ghar Se Tang Aa Ke in PDF.