Doston Ki Ata Hai KHamoshi

doston ki ata hai KHamoshi

ab mera muddaa hai KHamoshi

alam ki ibtida hai hangama

alam ki intiha hai KHamoshi

dard ke shahr mein hai ghar mera

mere ghar ka pata hai KHamoshi

is taraf main hun us taraf wo hain

bich ka fasla hai KHamoshi

bhigti raat ki hatheli par

misl-e-rang-e-hina hai KHamoshi

dosto KHud talak pahunchne ka

muKHtasar rasta hai KHamoshi

kash samjhen zaban wale bhi

be zaban ki dua hai KHamoshi

marne wale ne ye kaha 'firdaus'

zindagi ka sila hai KHamoshi

(1072) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Doston Ki Ata Hai KHamoshi In English By Famous Poet Firdaus Gayavi. Doston Ki Ata Hai KHamoshi is written by Firdaus Gayavi. Read famous Poem Doston Ki Ata Hai KHamoshi for youth and Student by Firdaus Gayavi. Free Download Doston Ki Ata Hai KHamoshi in PDF.