Umid Ki Koi Chadar To Samne Aae

umid ki koi chadar to samne aae

main ruk bhi jaun tera ghar to samne aae

main rah-e-ishq mein KHud ko fana bhi kar dunga

mare habib wo manzar to samne aae

hamare bazu ka duniya kamal dekhegi

adu ka koi bhi lashkar to samne aae

mein ehtiram se dastar is ke sar bandhun

wo fan-shanas suKHnawar to samne aae

karunga umr bhar us par main pyar ki barish

wo KHush-jamal sa paikar to samne aae

sar-e-niyaz jhukega KHud us ke qadmon mein

wo le ke hath mein KHanjar to samne aae

mein ek sang hun mujh mein hain suraten pinhan

mujhe tarashne aazar to samne aae

fida-e-ishq hun marne ka Dar nahin 'firdaus'

mujhe Dubone samundar to samne aae

(863) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umid Ki Koi Chadar To Samne Aae In English By Famous Poet Firdaus Gayavi. Umid Ki Koi Chadar To Samne Aae is written by Firdaus Gayavi. Read famous Poem Umid Ki Koi Chadar To Samne Aae for youth and Student by Firdaus Gayavi. Free Download Umid Ki Koi Chadar To Samne Aae in PDF.