Wo Zulm-o-sitam Dhae Aur Mujhse Wafa Mange

wo zulm-o-sitam Dhae aur mujh se wafa mange

jaise koi gul kar ke dipak se ziya mange

jina baDi neamat hai jine ka chalan sikhen

achchha to nahin koi marne ki dua mange

gham bhi hai udasi bhi tanhai bhi aansu bhi

sab kuchh to mayassar hai dil mange to kya mange

aain-e-watan par to dil war chuke apna

namus-e-watan hum se ab rang-e-hina mange

auqat hai kya us ki wo pesh-e-nazar rakkhe

insan na koi apne daman se siwa mange

ramta hua jogi hun bahta hua pani hun

hargiz na koi mujh se ab mera pata mange

phir chehra-e-qatil ki nazron ko zarurat hai

phir kucha-e-qatil ki dil aab-o-hawa mange

wo sair-e-gulistan ko 'firdaus' jo aa jae

muskan kali chahe raftar-e-saba mange

(1089) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Zulm-o-sitam Dhae Aur Mujhse Wafa Mange In English By Famous Poet Firdaus Gayavi. Wo Zulm-o-sitam Dhae Aur Mujhse Wafa Mange is written by Firdaus Gayavi. Read famous Poem Wo Zulm-o-sitam Dhae Aur Mujhse Wafa Mange for youth and Student by Firdaus Gayavi. Free Download Wo Zulm-o-sitam Dhae Aur Mujhse Wafa Mange in PDF.