Ye Sach Nahin Ki Tamazat Se Dar Gai Hai Nadi

ye sach nahin ki tamazat se Dar gai hai nadi

sukun-e-dil ke liye apne ghar gai hai nadi

abhi to pahne hui thi libas-e-KHamoshi

ye kya hua ki achanak biphar gai hai nadi

hamein ye Dar hai ki phir se biphar na jae kahin

qadam baDhao ki is waqt utar gai hai nadi

wo shaKHs taDpa na chillaya aur mar bhi gaya

pata chala nahin kab war kar gai hai nadi

nahin mili jo rifaqat kisi samundar ki

to reza reza si ho kar bikhar gai hai nadi

na jaane aaj tu itni malul si kyun hai

ye kya hua ki teri aankh bhar gai hai nadi

suna suna ke ghamon ki kahaniyan 'firdaus'

mujhe to aur bhi ghamgin kar gai hai nadi

(1229) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Sach Nahin Ki Tamazat Se Dar Gai Hai Nadi In English By Famous Poet Firdaus Gayavi. Ye Sach Nahin Ki Tamazat Se Dar Gai Hai Nadi is written by Firdaus Gayavi. Read famous Poem Ye Sach Nahin Ki Tamazat Se Dar Gai Hai Nadi for youth and Student by Firdaus Gayavi. Free Download Ye Sach Nahin Ki Tamazat Se Dar Gai Hai Nadi in PDF.