Tasawwur Mein Jamal-e-ru-e-taban Le Ke Chalta Hun

tasawwur mein jamal-e-ru-e-taban le ke chalta hun

andheri rah mein sham-e-farozan le ke chalta hun

shikasta-dil hujum-e-yas-o-hirman le ke chalta hun

huzur-e-husn main ye saz-o-saman le ke chalta hun

unhen shayad yaqin aa jae ab meri mohabbat ka

main un ke ru-ba-ru chaak-e-gareban le ke chalta hun

tumhaari yaad har ek gam par mujh ko rulati hai

agar dil mein kabhi jine ka arman le ke chalta hun

Tapakta hai lahu ehsas ke rangin darichon se

main apne dil mein jab yaad-e-shahidan le ke chalta hun

use shayad meri masumiyat par rahm aa jae

KHuda ke samne main fard-e-isyan le ke chalta hun

mujhe bhi apne ehsas-e-wafa ko aazmana hai

ba-zoam-e-ishq afkar-e-pareshan le ke chalta hun

meri KHuddar 'fitrat' ki KHuda hi aabru rakkhe

KHizan ke daur mein azm-e-bahaaran le ke chalta hun

(746) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tasawwur Mein Jamal-e-ru-e-taban Le Ke Chalta Hun In English By Famous Poet Fitrat Ansari. Tasawwur Mein Jamal-e-ru-e-taban Le Ke Chalta Hun is written by Fitrat Ansari. Read famous Poem Tasawwur Mein Jamal-e-ru-e-taban Le Ke Chalta Hun for youth and Student by Fitrat Ansari. Free Download Tasawwur Mein Jamal-e-ru-e-taban Le Ke Chalta Hun in PDF.