Un Ka Mansha Hai Na Phaile KHas-o-KHashak Mein Aag

un ka mansha hai na phaile KHas-o-KHashak mein aag

aatish-e-dil na laga dida-e-namnak mein aag

barq-e-gham ban ke jo ehsas-e-nazar phunk gai

is qadar thi tere ek jumla-e-be-bak mein aag

shoala-e-mai ki nawazish hai to lag jaegi

saz-e-hasti ke har ek naghma-e-napak mein aag

un ke aangan mein bhi angare baras jaenge

aah-e-sozan na laga daman-e-aflak mein aag

qafile aur bhi manzil ki taraf aate hain

tum sar-e-rah dabao na abhi KHak mein aag

shukr hai us ki tamanna hui puri yarab

tere diwane ki muddat se rahi tak mein aag

chashm-e-fitrat se Tapakta hai mohabbat ka jalal

phail jae na kahin aalam-e-idrak mein aag

(708) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Ka Mansha Hai Na Phaile KHas-o-KHashak Mein Aag In English By Famous Poet Fitrat Ansari. Un Ka Mansha Hai Na Phaile KHas-o-KHashak Mein Aag is written by Fitrat Ansari. Read famous Poem Un Ka Mansha Hai Na Phaile KHas-o-KHashak Mein Aag for youth and Student by Fitrat Ansari. Free Download Un Ka Mansha Hai Na Phaile KHas-o-KHashak Mein Aag in PDF.