Mehnat-o-dard-o-ranj-o-gham Aur Alam Ye Raat Din
mehnat-o-dard-o-ranj-o-gham aur alam ye raat din
karte hain mujh ko KHwar-o-zar ek do tin chaar panch
nala-o-girya aah-o-ashk aur fughan tere baghair
mere hue hain dost-dar ek do tin chaar panch
ishwa nigah ada-o-naz aur hai ghamza ham-rikab
sath hain tere shahsawar ek do tin chaar panch
(663) Peoples Rate This