Hai Ibarat Jo Gham-e-dil Se Wo Wahshat Bhi Na Thi

hai ibarat jo gham-e-dil se wo wahshat bhi na thi

sach hai shayad ki hamein us se mohabbat bhi na thi

zindagi aur pur-asrar hui jati hai

ishq ka sath na hota to shikayat bhi na thi

tujh se chhuT kar na kabhi pyar kisi se karte

dil ke bahlane ki lekin koi surat bhi na thi

ghor-andheron mein KHud apne ko sada de lete

rah chalte hue logon mein ye jurat bhi na thi

zid mein duniya ki bahar-haal mila karte the

warna hum donon mein aisi koi ulfat bhi na thi

mar miTe log sar-e-rah-guzar-e-ishq 'fuzail'

apne hisse mein ye chhoTi si saadat bhi na thi

(650) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Ibarat Jo Gham-e-dil Se Wo Wahshat Bhi Na Thi In English By Famous Poet Fuzail Jafri. Hai Ibarat Jo Gham-e-dil Se Wo Wahshat Bhi Na Thi is written by Fuzail Jafri. Read famous Poem Hai Ibarat Jo Gham-e-dil Se Wo Wahshat Bhi Na Thi for youth and Student by Fuzail Jafri. Free Download Hai Ibarat Jo Gham-e-dil Se Wo Wahshat Bhi Na Thi in PDF.