Samne Aankhon Ke Ghar Ka Ghar Bane Aur TuT Jae

samne aankhon ke ghar ka ghar bane aur TuT jae

kya kare wo jis ka dil patthar bane aur TuT jae

hae re un ke fareb-e-wada-e-farda ka jal

dekhte hi dekhte ek dar bane aur TuT jae

hadson ki Thokaron se chur hona hai to phir

kyun na KHamoshi se dil saghar bane aur TuT jae

hum bhi le len lutf-e-tir-e-nim-kash gar wo nazar

aate aate qalb tak KHanjar bane aur TuT jae

un ke daman ki hawa bhi kis ko hoti hai nasib

aaj har aansu mera gauhar bane aur TuT jae

yun bikharta hi raha ai 'tarz' har sapna mera

subh jaise KHwab ka manzar bane aur TuT jae

(811) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samne Aankhon Ke Ghar Ka Ghar Bane Aur TuT Jae In English By Famous Poet Ganesh Bihari Tarz. Samne Aankhon Ke Ghar Ka Ghar Bane Aur TuT Jae is written by Ganesh Bihari Tarz. Read famous Poem Samne Aankhon Ke Ghar Ka Ghar Bane Aur TuT Jae for youth and Student by Ganesh Bihari Tarz. Free Download Samne Aankhon Ke Ghar Ka Ghar Bane Aur TuT Jae in PDF.