Sanson Ki Jal-tarang Par Naghma-e-ishq Gae Ja

sanson ki jal-tarang par naghma-e-ishq gae ja

ai meri jaan-e-arzu tu yunhi muskurae ja

husn-e-KHiram-e-naz se jadu nae jagae ja

jab bhi jahan paDen qadam phul wahin khilae ja

aag laga ke hans kabhi ban ke ghaTa baras kabhi

bikhra ke zulf-e-ambarin hosh mere uDae ja

barson ke baad aankhon mein chhalki hai pyar ki sharab

band na kar ye mai-kade aise hi bas pilae ja

masti bhi hai saman bhi hai mahfil-e-dilbaran bhi hai

aise mein 'tarz' jhum kar rang-e-ghazal jamae ja

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sanson Ki Jal-tarang Par Naghma-e-ishq Gae Ja In English By Famous Poet Ganesh Bihari Tarz. Sanson Ki Jal-tarang Par Naghma-e-ishq Gae Ja is written by Ganesh Bihari Tarz. Read famous Poem Sanson Ki Jal-tarang Par Naghma-e-ishq Gae Ja for youth and Student by Ganesh Bihari Tarz. Free Download Sanson Ki Jal-tarang Par Naghma-e-ishq Gae Ja in PDF.