Marhala Tai Koi Be-minnat-e-jada Bhi To Ho

marhala tai koi be-minnat-e-jada bhi to ho

gham baDhe bhi to sahi dard ziyaada bhi to ho

aisi mushkil to nahin dasht-e-wafa ki tasKHir

sar mein sauda bhi to ho dil mein irada bhi to ho

zehn ka mashwara-e-tark-e-talab bhi bar-haq

zehn ki baat qubul-e-dil-e-sada bhi to ho

kahin baadal kahin suraj kahin saya kahin dhup

mere mabud tera koi labaada bhi to ho

pyar mein kam to nahin kam-nigahi bhi us ki

han tunak-zarfi-e-ehsas kushada bhi to ho

aashiqi sarmad-o-mansur se kuchh KHas nahin

mast lekin koi be-zahmat-e-baada bhi to ho

zarf-e-iza-talabi gham bhi parakh len 'gauhar'

us se ek roz na milne ka irada bhi to ho

(825) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Marhala Tai Koi Be-minnat-e-jada Bhi To Ho In English By Famous Poet Gauhar Hoshiyarpuri. Marhala Tai Koi Be-minnat-e-jada Bhi To Ho is written by Gauhar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Marhala Tai Koi Be-minnat-e-jada Bhi To Ho for youth and Student by Gauhar Hoshiyarpuri. Free Download Marhala Tai Koi Be-minnat-e-jada Bhi To Ho in PDF.